Friday, February 20, 2009
TASVEER BANATA HUN TASVEER NAHI BANTI...
Film:Baradari
Year:1955
Music:Nashad
Lyrics:Khumar Barabankavi
Hindi Lyrics:
tasaweer banaataa hoo, tasaweer naheen banatee
yek khwaab saa dekhaa hai, taabeer naheen banatee
bedard mohabbat kaa itanaa saa hain afasaanaa
najaron se milee najare, main ho gayaa deewaanaa
ab dil ke bahalane kee, tadabeer naheen banatee
dam bhar ke liye meree duniyaan mein chale aao
tarasee huyee aakhon ko fir shakl dikhaa jaao
muz se to meree bigadee takadeer naheen banatee
Thursday, February 19, 2009
ANDHE JAHAN KE ANDHE RASTE JAYEN TO JAYEN KAHAN..
Music - Shankar Jaikishan
Cast - Dilip Kumar Nimmi Usha Kiran Agha
Movie - Patita (1953]
HINDI LYRICS:
andhe jahaan ke andhe raasate, jaaye to jaaye kahaa
duniyaa to duniyaa, too bhee paraayaa, hum yahaa naa wahaa
jeene kee chaahat nahee, mar ke bhee raat nahee
is paar aansoo, us paar aahe, dil meraa bejoobaan
hum ko naa koee bulaaye, naa koee palake bichhaye
aye gam ke maaro manjil wahee hai, dam ye toote jahaa
aagaaj ke din teraa, anjaam tay ho chookaa
jalate rahe hai, jalate rahenge, ye jameen aasamaan
Wednesday, February 18, 2009
Bechain Nazar Betaab Zigar_
Movie:Yasmin (1955]
Music:C.Ramchandra
Starring:Vyajayantimala,Suresh,Maruti
Lyrics:Jaan Nissar Akhtar
Singer:Talat mahmood
Hindi Lyrics:
bechain nazar betab jigar
ye dil hai kisika divana hay divana
kab sham ho aur vo shamma jale
kab ud kar pahunche paravana hay paravana
hai dil ka chaman khilane ke liye
aega koi milane ke liye
phulon se kaho taron se kaho - 2
chupake se saja den virana, hay virana
jab rat zara shabanam mein ghule
laharai hui vo zulf khule
nazaron se nazar ej bhed kahe - 2
dil dil se kahe ek afasana, hay afasana
rangin fiza chhae to zara
vade pe koi ae to zara
ai josh-e-vafa dil chiz hai kya - 2
ham jan bhi den den nazarana, hay nazarana
bechain nazar betab jigar ...
Dil Matwala Lakh Sambhala
Badar-e-- Dil Matwala Lakh Sambhala
If you think you are a good singer or composer and you are not in a position to publish your work on internet, we are here to help. You can send your audio/video in any format to uvbaliraja@gmail.com. and we'll upload it FREE on You Tube
Live performance in UK ...meri yaad mei na aansu bahana...
Hindi Lyrics:
Meri yaad mein tum na, aansoo bahaana
Na jee ko jalaana, mujhe bhool jaana
Samajhna ke tha ek, sapna suhaana
Woh guzra zamaana, mujhe bhool jaana
Meri yaad mein
Juda meri manzil, juda teri raahen -2
Milengi na ab teri meri nigaahen
Mujhe teri duniya se, hai door jaana
Na jee ko jalaana, mujhe bhool jaana
Meri yaad mein
Yeh ro ro ke kehta hai, toota hua dil -2
Nahin hoon main eri mohabbat ke kaabil
Mera naam tak apne, lab pe na laana
Na jee ko jalaana, mujhe bhool jaana
Samajhna ke tha ek, sapna suhaana
Woh guzra zamaana, mujhe bhool jaana
Meri yaad mein
Tuesday, February 10, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)
